mere is dida-e-KHun-nab ke pichhe pichhe
mere is dīda-e-ḳhūñ-nāb ke pīchhe pīchhe
ek be-ḳhvābī hai is ḳhvāb ke pīchhe pīchhe
umr bhar chain nahīñ paate haiñ vo log ki jo
bhāgte rahte haiñ asbāb ke pīchhe pīchhe
dil bhī ashkoñ ke ta.āqub meñ bahā jaatā hai
ek sahrā sā hai sailāb ke pīchhe pīchhe
kuchh to tā-umr rahe kasb-e-hunar meñ masrūf
aur kuchh tamġha-o-alqāb ke pīchhe pīchhe
jis kī takmīl pe āñkheñ bhī ga.iiñ dil bhī gayā
umr guzrī thī usī ḳhvāb ke pīchhe pīchhe
un pe zindāñ kī fasīloñ ko bhī pyaar aatā hai
jo chale aate haiñ ahbāb ke pīchhe pīchhe
ham to is darja tire naam ke dīvāne haiñ
jaise dauḌe koī surḳhāb ke pīchhe pīchhe
mere is dida-e-KHun-nab ke pichhe pichhe
ek be-KHwabi hai is KHwab ke pichhe pichhe
umr bhar chain nahin pate hain wo log ki jo
bhagte rahte hain asbab ke pichhe pichhe
dil bhi ashkon ke taaqub mein baha jata hai
ek sahra sa hai sailab ke pichhe pichhe
kuchh to ta-umr rahe kasb-e-hunar mein masruf
aur kuchh tamgha-o-alqab ke pichhe pichhe
jis ki takmil pe aankhen bhi gain dil bhi gaya
umr guzri thi usi KHwab ke pichhe pichhe
un pe zindan ki fasilon ko bhi pyar aata hai
jo chale aate hain ahbab ke pichhe pichhe
hum to is darja tere nam ke diwane hain
jaise dauDe koi surKHab ke pichhe pichhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.