mere jaise is basti mein aur bhi pagal rahte hain
mere jaise is bastī meñ aur bhī pāgal rahte haiñ
sab ne āñkheñ girvī rakh kar aadhe ḳhvāb ḳharīde haiñ
koyal kavvā chiil kabūtar totā mainā chiḌiyā mor
shaam Dhale sab chup chup baiThe ik duuje ko takte haiñ
dariyā sāgar ambar bādal bārish āñdhī dhuup havā
sab terā bahrūp hai sā.īñ terā naam hī japte haiñ
ḳhālī kursī do cup chaa.e sabza ḳhushbū būñdā-bāndī
sub.h-savere mujh se mil kar terī bāteñ karte haiñ
hijr udāsī vahshat aañsū āvāra-pan be-zārī
shorīda dil chaak garebāñ sab ulfat ke jhagḌe haiñ
'sāġhar' 'mīr' 'farāz' aur 'ġhālib' 'momin' 'dāġh' 'qatīl' aur 'faiz'
oḌh ke misre nazmeñ ġhazleñ chain sukūn se sote haiñ
bāteñ yādeñ rāteñ āñkheñ bāñheñ aaheñ fariyādeñ
suune ghar ke ik kone meñ aksar mil kar rote haiñ
chāñd sitāre jugnū sūraj pariyāñ jin uḌte panchhī
sab dhartī par aakar 'dānish' us ke paañv ko chhūte haiñ
mere jaise is basti mein aur bhi pagal rahte hain
sab ne aankhen girwi rakh kar aadhe KHwab KHaride hain
koyal kawwa chil kabutar tota maina chiDiya mor
sham Dhale sab chup chup baiThe ek duje ko takte hain
dariya sagar ambar baadal barish aandhi dhup hawa
sab tera bahrup hai sain tera nam hi japte hain
KHali kursi do cup chae sabza KHushbu bunda-bandi
subh-sawere mujh se mil kar teri baaten karte hain
hijr udasi wahshat aansu aawara-pan be-zari
shorida dil chaak gareban sab ulfat ke jhagDe hain
'saghar' 'mir' 'faraaz' aur 'ghaalib' 'momin' 'dagh' 'qatil' aur 'faiz'
oDh ke misre nazmen ghazlen chain sukun se sote hain
baaten yaaden raaten aankhen banhen aahen fariyaaden
sune ghar ke ek kone mein aksar mil kar rote hain
chand sitare jugnu suraj pariyan jin uDte panchhi
sab dharti par aakar 'danish' us ke panw ko chhute hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.