mere jaise kuchh nae chehre banane ke liye
mere jaise kuchh na.e chehre banāne ke liye
merī miTTī is zamīñ ke kār-ḳhāne ke liye
ek sajda merā sar jhukne nahīñ detā kabhī
jo bachā rakkhā hai tere āstāne ke liye
jism meñ paivast dhūpoñ ne nahīñ jaane diyā
bārishoñ meñ jab kabhī niklā nahāne ke liye
ek patthar hai jise ā.īna karnā hai mujhe
dūsrā patthar hai ik ā.īna-ḳhāne ke liye
chiḌchiḌāhaT qahqahe mūñchheñ latīfe shā'irī
ḳhud ko zāhir kar diyā tujh ko chhupāne ke liye
in sulagte manzaroñ se zaḳhm-ḳhurda aañkh ko
kar diyā māmūr ḳhvāboñ ko uThāne ke liye
mere jaise kuchh nae chehre banane ke liye
meri miTTi is zamin ke kar-KHane ke liye
ek sajda mera sar jhukne nahin deta kabhi
jo bacha rakkha hai tere aastane ke liye
jism mein paiwast dhupon ne nahin jaane diya
barishon mein jab kabhi nikla nahane ke liye
ek patthar hai jise aaina karna hai mujhe
dusra patthar hai ek aaina-KHane ke liye
chiDchiDahaT qahqahe munchhen latife sha'iri
KHud ko zahir kar diya tujh ko chhupane ke liye
in sulagte manzaron se zaKHm-KHurda aankh ko
kar diya mamur KHwabon ko uThane ke liye
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 64)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.