mere jazbaat ki rau jaane kahan bahki hai
mere jazbāt kī rau jaane kahāñ bahkī hai
ab to mushkil hai chhupānā tujhe afsānoñ meñ
dil kā sho.ala to bhaḌaktā hī rahā ashkoñ se
raat bhar sham.a pighaltī rahī parvānoñ meñ
rang-e-iḳhlās-o-vafā kaifiyat-e-soz-o-gudāz
aur kyā chiiz sajā.ūñ tire armānoñ meñ
phir mirī āñkhoñ meñ lahrāyā tirā ḳhvāb-e-hasīñ
le chalī niiñd mujhe tere shabistānoñ meñ
zindagī chāhe kahīñ kar le Thikānā apnā
ruuh mañDlātī rahegī tire kāshānoñ meñ
ek nairañg-e-junūñ-sāz sadā-e-paiham
hai ye andāz-e-kashish husn ke dīvānoñ meñ
aaj bahkī huī duniyā hai nigāhoñ meñ mirī
jaane kyā baat hai saaqī tire paimānoñ meñ
thā kahāñ hosh tire tishna-laboñ meñ baaqī
dil kā paimāna liye rah ga.e mai-ḳhānoñ meñ
chāñd kā phīkā tabassum gul-e-pazhmurda hī
raunaqeñ haiñ yahī baaqī mire vīrānoñ meñ
mere jazbaat ki rau jaane kahan bahki hai
ab to mushkil hai chhupana tujhe afsanon mein
dil ka shoala to bhaDakta hi raha ashkon se
raat bhar shama pighalti rahi parwanon mein
rang-e-iKHlas-o-wafa kaifiyat-e-soz-o-gudaz
aur kya chiz sajaun tere armanon mein
phir meri aankhon mein lahraya tera KHwab-e-hasin
le chali nind mujhe tere shabistanon mein
zindagi chahe kahin kar le Thikana apna
ruh manDlati rahegi tere kashanon mein
ek nairang-e-junun-saz sada-e-paiham
hai ye andaz-e-kashish husn ke diwanon mein
aaj bahki hui duniya hai nigahon mein meri
jaane kya baat hai saqi tere paimanon mein
tha kahan hosh tere tishna-labon mein baqi
dil ka paimana liye rah gae mai-KHanon mein
chand ka phika tabassum gul-e-pazhmurda hi
raunaqen hain yahi baqi mere viranon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.