mere jine ka taur kuchh bhi nahin
mere jiine kā taur kuchh bhī nahīñ
saañs chaltī hai aur kuchh bhī nahīñ
dil lagā kar phañse ham aafat meñ
baat itnī hai aur kuchh bhī nahīñ
aap haiñ aap aap sab kuchh haiñ
aur maiñ aur aur kuchh bhī nahīñ
ham agar haiñ to jhel Dāleñge
dil agar hai to jaur kuchh bhī nahīñ
sher likhte haiñ sher paḌhte haiñ
'nūh' maiñ vasf aur kuchh bhī nahīñ
mere jine ka taur kuchh bhi nahin
sans chalti hai aur kuchh bhi nahin
dil laga kar phanse hum aafat mein
baat itni hai aur kuchh bhi nahin
aap hain aap aap sab kuchh hain
aur main aur aur kuchh bhi nahin
hum agar hain to jhel Dalenge
dil agar hai to jaur kuchh bhi nahin
sher likhte hain sher paDhte hain
'nuh' main wasf aur kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.