mere junun-e-shauq ka aalam hi aur tha
mere junūn-e-shauq kā aalam hī aur thā
vo ibtidā-e-ishq kā mausam hī aur thā
jis ne mire shu.ūr ko baḳhshā thā e.atibār
vo ġham ġham-e-hayāt na thā ġham hī aur thā
vo lan-tarāniyāñ na vo lāf-o-gazāf thā
vo aa gayā to bazm kā aalam hī aur thā
tahzīb-e-nau ne mom ko patthar banā diyā
ik din vo thā fasāna-e-ādam hī aur thā
lazzat-shanās zer-e-ġham-e-ishq thā ye dil
lekin jo ab ke baar milā sam hī aur thā
sharh-o-bayāñ se aur ulajhtā chalā gayā
ai ham-nashīñ vo qissa-e-mub.ham hī aur thā
pahle bhī arz-e-hāl ye royā hai vo magar
kal raat us kā girya-e-paiham hī aur thā
ḳhanjar kī dhaar jis ne rag-e-jāñ se kaaT dī
vo e.atibār-e-azmat-e-ādam hī aur thā
'jābir' harīf-e-gardish-e-daurāñ thā un dinoñ
vo thā sharīk-e-hāl to dam-ḳham hī aur thā
mere junun-e-shauq ka aalam hi aur tha
wo ibtida-e-ishq ka mausam hi aur tha
jis ne mere shuur ko baKHsha tha eatibar
wo gham gham-e-hayat na tha gham hi aur tha
wo lan-taraniyan na wo laf-o-gazaf tha
wo aa gaya to bazm ka aalam hi aur tha
tahzib-e-nau ne mom ko patthar bana diya
ek din wo tha fasana-e-adam hi aur tha
lazzat-shanas zer-e-gham-e-ishq tha ye dil
lekin jo ab ke bar mila sam hi aur tha
sharh-o-bayan se aur ulajhta chala gaya
ai ham-nashin wo qissa-e-mubham hi aur tha
pahle bhi arz-e-haal ye roya hai wo magar
kal raat us ka girya-e-paiham hi aur tha
KHanjar ki dhaar jis ne rag-e-jaan se kaT di
wo eatibar-e-azmat-e-adam hi aur tha
'jabir' harif-e-gardish-e-dauran tha un dinon
wo tha sharik-e-haal to dam-KHam hi aur tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.