mere KHat ka jawab bhejenge
mere ḳhat kā javāb bhejeñge
kuchh to aalī janāb bhejeñge
kyā azāb-o-savāb bhejeñge
kuchh to izzat-ma.āb bhejeñge
tum hameñ bhī gulāb bhejo na
ham tumheñ bhī janāb bhejeñge
kuchh mohabbat-bhare savāl karo
tum ko un kā javāb bhejeñge
apnī āñkheñ khulī huī rakhnā
kuchh suhāne se ḳhvāb bhejeñge
us ne bhejā hai jang-nāma hameñ
ham ġhazal kī kitāb bhejeñge
tum hamārā hisāb kar denā
kuchh purānā hisāb bhejeñge
tum use muskurā ke rakh lenā
ham tumheñ māhtāb bhejeñge
mere KHat ka jawab bhejenge
kuchh to aali janab bhejenge
kya azab-o-sawab bhejenge
kuchh to izzat-maab bhejenge
tum hamein bhi gulab bhejo na
hum tumhein bhi janab bhejenge
kuchh mohabbat-bhare sawal karo
tum ko un ka jawab bhejenge
apni aankhen khuli hui rakhna
kuchh suhane se KHwab bhejenge
us ne bheja hai jang-nama hamein
hum ghazal ki kitab bhejenge
tum hamara hisab kar dena
kuchh purana hisab bhejenge
tum use muskura ke rakh lena
hum tumhein mahtab bhejenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.