mere KHayal-o-KHwab mein surat usi ki thi
mere ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ sūrat usī kī thī
merī bujhī nazar ko zarūrat usī kī thī
sūraj to apne saath liye dhuup Dhal gayā
lekin vo dar se lipTī tamāzat usī kī thī
duniyā kī uljhanoñ se agar thā maiñ be-ḳhabar
shāmil mire gunāh meñ vahshat usī kī thī
ashkoñ ko qaid kar ke bhalā kyā ġhazab kiyā
āñkheñ usī kī aur zarūrat usī kī thī
ye aur baat hai ki thī ḳhāmosh zindagī
lekin hamārī maut se nisbat usī kī thī
har chand ai 'sadaf' vo rahā ham se duur duur
lekin hamāre dil pe hukūmat usī kī thī
mere KHayal-o-KHwab mein surat usi ki thi
meri bujhi nazar ko zarurat usi ki thi
suraj to apne sath liye dhup Dhal gaya
lekin wo dar se lipTi tamazat usi ki thi
duniya ki uljhanon se agar tha main be-KHabar
shamil mere gunah mein wahshat usi ki thi
ashkon ko qaid kar ke bhala kya ghazab kiya
aankhen usi ki aur zarurat usi ki thi
ye aur baat hai ki thi KHamosh zindagi
lekin hamari maut se nisbat usi ki thi
har chand ai 'sadaf' wo raha hum se dur dur
lekin hamare dil pe hukumat usi ki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.