mere KHayal se daman chhuDa liya hai to kya
mere ḳhayāl se dāman chhuḌā liyā hai to kyā
kahā ye kis ne ki bhūle se bhī salām na le
bharī bahār meñ phūloñ ke chāk-dāman haiñ
kise sazā mile gul to kisī kā naam na le
bahār kar ga.ī ḳhālī chaman ke āñchal ko
ḳhizāñ kā karb bhī dekho ki intiqām na le
ye chāñdnī hai kisī kī nigāh kā partav
nazar se pī le to hāthoñ meñ koī jaam na le
akelī rah meñ na do-gām bhī chalā jaa.e
jo shām-e-ġham tirī yādoñ kī uñglī thaam na le
ye kaun ruuh pe charke lagā gayā 'husnā'
qasam vafā kī tū us bevafā kā naam na le
mere KHayal se daman chhuDa liya hai to kya
kaha ye kis ne ki bhule se bhi salam na le
bhari bahaar mein phulon ke chaak-daman hain
kise saza mile gul to kisi ka nam na le
bahaar kar gai KHali chaman ke aanchal ko
KHizan ka karb bhi dekho ki intiqam na le
ye chandni hai kisi ki nigah ka partaw
nazar se pi le to hathon mein koi jam na le
akeli rah mein na do-gam bhi chala jae
jo sham-e-gham teri yaadon ki ungli tham na le
ye kaun ruh pe charke laga gaya 'husna'
qasam wafa ki tu us bewafa ka nam na le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.