mere KHwabon ko nigalne ka irada na kare
mere ḳhvāboñ ko nigalne kā irāda na kare
kah do sūraj se nikalne kā irāda na kare
us se baḌh kar koī muhtāj nahīñ ho saktā
gir ke jo shaḳhs sañbhalne kā irāda na kare
jo havāoñ ke mizājoñ se nahīñ hai vāqif
mere hamrāh vo chalne kā irāda na kare
guftugū zahr-bharī sun le jo insānoñ kī
saañp bhī zahr ugalne kā irāda na kare
apnī qismat meñ hai manzil to ḳhud aa jā.egī
ab junūñ raah badalne kā irāda na kare
niyyateñ saaf ghaTāoñ kī nahīñ haiñ 'ālam'
chāñd se kah do nikalne kā irāda na kare
mere KHwabon ko nigalne ka irada na kare
kah do suraj se nikalne ka irada na kare
us se baDh kar koi muhtaj nahin ho sakta
gir ke jo shaKHs sanbhalne ka irada na kare
jo hawaon ke mizajon se nahin hai waqif
mere hamrah wo chalne ka irada na kare
guftugu zahr-bhari sun le jo insanon ki
sanp bhi zahr ugalne ka irada na kare
apni qismat mein hai manzil to KHud aa jaegi
ab junun rah badalne ka irada na kare
niyyaten saf ghaTaon ki nahin hain 'alam'
chand se kah do nikalne ka irada na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.