mere KHwabon mein jo chehra rahta hai
mere ḳhvāboñ meñ jo chehra rahtā hai
us ke pīchhe jaane kitne chehre haiñ
tum ho panthī āte-jāte rahte ho
ham to ik rasta haiñ Thahre-Thahre haiñ
jaane kitnā vaqt lagegā bharne meñ
ghaav tirī bātoñ ke itne gahre haiñ
aisā chehra pā kar tum ne kyā paayā
jis chehre par har dam itne pahre haiñ
mere KHwabon mein jo chehra rahta hai
us ke pichhe jaane kitne chehre hain
tum ho panthi aate-jate rahte ho
hum to ek rasta hain Thahre-Thahre hain
jaane kitna waqt lagega bharne mein
ghaw teri baaton ke itne gahre hain
aisa chehra pa kar tum ne kya paya
jis chehre par har dam itne pahre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.