mere lab par kabhi tu ban ke dua bhi aai
mere lab par kabhī tū ban ke duā bhī aa.ī
tujhe ai aah mirī baat banā bhī aa.ī
un se kuchh ye shafaq-e-shām lagā bhī aa.ī
ki shab-e-va.ada jo aa.ī to hinā bhī aa.ī
itne din aa.e hue mujh ko qafas meñ guzre
jhāñkne ko kabhī gulshan se havā bhī aa.ī
tū hamesha rahī qātil ke kamar meñ ai teġh
tere sadqe tujhe qātil kī adā bhī aa.ī
dard-e-furqat kī aziyyat kā na pūchho kuchh haal
aaj ghabrā ke ka.ī baar qazā bhī aa.ī
bhūltā hī nahīñ kahnā ye kisī kāfir kā
tujhe bhūle se kabhī yād-e-ḳhudā bhī aa.ī
uTh rahī thiiñ usī din ke liye nīchī nazreñ
chuTkiyāñ qabr meñ lene ko hayā bhī aa.ī
hashr ke din bhī rahī baat vahī aañkh vahī
jhūTe va.adoñ se tujhe sharm zarā bhī aa.ī
sham.a ke vāste thī jumbish-e-dāman kaafī
un ke dāman se lagī bād-e-sabā bhī aa.ī
aa gayā shukr-e-zabāñ par jo kiyā ḳhum ḳhālī
peT apnā jo bharā yād-e-ḳhudā bhī aa.ī
aa.e maiḳhāne meñ jab masjid-e-jāme se 'riyāz'
saath hī aap ke qible se ghaTā bhī aa.ī
mere lab par kabhi tu ban ke dua bhi aai
tujhe ai aah meri baat bana bhi aai
un se kuchh ye shafaq-e-sham laga bhi aai
ki shab-e-wada jo aai to hina bhi aai
itne din aae hue mujh ko qafas mein guzre
jhankne ko kabhi gulshan se hawa bhi aai
tu hamesha rahi qatil ke kamar mein ai tegh
tere sadqe tujhe qatil ki ada bhi aai
dard-e-furqat ki aziyyat ka na puchho kuchh haal
aaj ghabra ke kai bar qaza bhi aai
bhulta hi nahin kahna ye kisi kafir ka
tujhe bhule se kabhi yaad-e-KHuda bhi aai
uTh rahi thin usi din ke liye nichi nazren
chuTkiyan qabr mein lene ko haya bhi aai
hashr ke din bhi rahi baat wahi aankh wahi
jhuTe wadon se tujhe sharm zara bhi aai
shama ke waste thi jumbish-e-daman kafi
un ke daman se lagi baad-e-saba bhi aai
aa gaya shukr-e-zaban par jo kiya KHum KHali
peT apna jo bhara yaad-e-KHuda bhi aai
aae maiKHane mein jab masjid-e-jame se 'riyaz'
sath hi aap ke qible se ghaTa bhi aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.