Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere lab par koi dua hi nahin

Fani Badayuni

mere lab par koi dua hi nahin

Fani Badayuni

MORE BYFani Badayuni

    mere lab par koī du'ā nahīñ

    is karam kuchh intihā nahīñ

    kashti-e-e'tibār toḌ ke dekh

    ki ḳhudā bhī hai nā-ḳhudā nahīñ

    merī hastī gavāh hai ki mujhe

    kisī vaqt bhūltā nahīñ

    ab use nā-umīd kyuuñ kahiye

    dil ko taufīq-e-mudda.ā nahīñ

    ġham meñ lazzat kahāñ ki dil na rahā

    haa.e vo hasrat-āshna nahīñ

    vahī hai vahī tirī mahfil

    ek 'fānī'-e-mubtalā nahīñ

    mere lab par koi du'a hi nahin

    is karam ki kuchh intiha hi nahin

    kashti-e-e'tibar toD ke dekh

    ki KHuda bhi hai na-KHuda hi nahin

    meri hasti gawah hai ki mujhe

    tu kisi waqt bhulta hi nahin

    ab use na-umid kyun kahiye

    dil ko taufiq-e-muddaa hi nahin

    gham mein lazzat kahan ki dil na raha

    hae wo hasrat-ashna hi nahin

    wahi tu hai wahi teri mahfil

    ek 'fani'-e-mubtala hi nahin

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mehran Amrohi

    Mehran Amrohi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    mere lab par koi dua hi nahin Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now