mere lab pe hansi agar aai
mere lab pe hañsī agar aa.ī
to faqat apne haal par aa.ī
dāstān-e-hayāt likkhūñgā
zabt-e-tahrīr meñ agar aa.ī
be-ḳhudī ne ye mo.ajiza bhī kiyā
chhoḌne mujh ko mere ghar aa.ī
qābil-e-dīd the maqām sabhī
jin se ye zindagī guzar aa.ī
merī ḳhātir ye rahmat-e-yazdāñ
us bulandī se kyoñ utar aa.ī
ham na sajde se sar uThā.eñge
baat bantī agar nazar aa.ī
hech samjhā thā ham ne duniyā ko
ye bhī tohmat hamāre sar aa.ī
maut hī ke liye sahī 'rāhat'
ik duā to zabān par aa.ī
mere lab pe hansi agar aai
to faqat apne haal par aai
dastan-e-hayat likkhunga
zabt-e-tahrir mein agar aai
be-KHudi ne ye moajiza bhi kiya
chhoDne mujh ko mere ghar aai
qabil-e-did the maqam sabhi
jin se ye zindagi guzar aai
meri KHatir ye rahmat-e-yazdan
us bulandi se kyon utar aai
hum na sajde se sar uThaenge
baat banti agar nazar aai
hech samjha tha hum ne duniya ko
ye bhi tohmat hamare sar aai
maut hi ke liye sahi 'rahat'
ek dua to zaban par aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.