mere labon pe aaj qayamat ka waqt hai
mere laboñ pe aaj qayāmat kā vaqt hai
neze pe sar hai aur tilāvat kā vaqt hai
vaj.h-e-shikast-e-jang kī taftīsh phir kabhī
pahle sipāhiyoñ kī ayādat kā vaqt hai
jugnū bhī ghar se nikleñ sitāre bhī aa.eñ saath
miTTī ke ik diye pe musībat kā vaqt hai
sūraj jalā rahā hai gunāhoñ kī dhuup meñ
dariyā batā rahā hai nadāmat kā vaqt hai
hone lagī hai tang mire jism par ye ḳhaak
ya.anī ki ab zamīn se hijrat kā vaqt hai
sabze bhī jal chuke haiñ parinde bhī uḌ ga.e
aisā mire makān pe ġhurbat kā vaqt hai
maiñ jā rahā huuñ apnā suḳhan bechne 'salīm'
yaaro ḳhatā muaaf tijārat kā vaqt hai
mere labon pe aaj qayamat ka waqt hai
neze pe sar hai aur tilawat ka waqt hai
wajh-e-shikast-e-jang ki taftish phir kabhi
pahle sipahiyon ki ayaadat ka waqt hai
jugnu bhi ghar se niklen sitare bhi aaen sath
miTTi ke ek diye pe musibat ka waqt hai
suraj jala raha hai gunahon ki dhup mein
dariya bata raha hai nadamat ka waqt hai
hone lagi hai tang mere jism par ye KHak
yani ki ab zamin se hijrat ka waqt hai
sabze bhi jal chuke hain parinde bhi uD gae
aisa mere makan pe ghurbat ka waqt hai
main ja raha hun apna suKHan bechne 'salim'
yaro KHata muaf tijarat ka waqt hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.