Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere lafzon se chali baat mere lafzon ki

Yasmeen Sahar

mere lafzon se chali baat mere lafzon ki

Yasmeen Sahar

MORE BYYasmeen Sahar

    mere lafzoñ se chalī baat mire lafzoñ

    tai huī mujh se mulāqāt mire lafzoñ

    maiñ ne ye dil ke ḳhazāne se churā.e hue haiñ

    kar nahīñ saktā koī baat mire lafzoñ

    sher-dar-sher biThā.e ga.e masnad par sher

    yuuñ sajā ga.ī bārāt mire lafzoñ

    us ne tasvīr ko tasvīr kiyā aur le

    selfī ek ek mire saath mire lafzoñ

    nazm par nazm sunāne huī farmā.ish

    yuuñ pazīrā.ī huī raat mire lafzoñ

    merī tahrīr pe mazmūn likhe jaane lage

    sar pe paḌne lagī barsāt mire lafzoñ

    bhiiḌ ye sar pe nahīñ apne biThā saktī maiñ

    khīñch leñ aap bhale laat mire lafzoñ

    tohfatan tiin kitābeñ use bhejīñ maiñ ne

    ho qubūl us ko ye sauġhāt mire lafzoñ

    is siyāhī se ubhartī hai savere kiran

    Dhalne lagtī hai jahāñ raat mire lafzoñ

    pairahan us ne mohabbat ke ma.ānī ko diye

    maalā pahnā.ī lage haath mire lafzoñ

    maiñ ne ehsās bhaTTī se guzārā huā hai

    tum samajhte nahīñ ho baat mire lafzoñ

    taaj sar par hai magar paañv meñ baiThī huī huuñ

    mujh se ūñchī hai 'sahar' zaat mire lafzoñ ke

    mere lafzon se chali baat mere lafzon ki

    tai hui mujh se mulaqat mere lafzon ki

    main ne ye dil ke KHazane se churae hue hain

    kar nahin sakta koi baat mere lafzon ki

    sher-dar-sher biThae gae masnad par sher

    yun saja di gai baraat mere lafzon ki

    us ne taswir ko taswir kiya aur le li

    selfi ek ek mere sath mere lafzon ki

    nazm par nazm sunane ki hui farmaish

    yun pazirai hui raat mere lafzon ki

    meri tahrir pe mazmun likhe jaane lage

    sar pe paDne lagi barsat mere lafzon ki

    bhiD ye sar pe nahin apne biTha sakti main

    khinch len aap bhale lat mere lafzon ki

    tohfatan tin kitaben use bhejin main ne

    ho qubul us ko ye saughat mere lafzon ki

    is siyahi se ubharti hai sawere ki kiran

    Dhalne lagti hai jahan raat mere lafzon ki

    pairahan us ne mohabbat ke maani ko diye

    mala pahnai lage hath mere lafzon ki

    main ne ehsas ki bhaTTi se guzara hua hai

    tum samajhte nahin ho baat mere lafzon ki

    taj sar par hai magar panw mein baiThi hui hun

    mujh se unchi hai 'sahar' zat mere lafzon ke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now