mere liye sahil ka nazara bhi bahut hai
mere liye sāhil kā nazārā bhī bahut hai
girdāb meñ tinke kā sahārā bhī bahut hai
dam-sāz milā koī na sahrā-e-junūñ meñ
DhūñDā bhī bahut ham ne pukārā bhī bahut hai
apnī ravish-e-lutf pe kuchh vo bhī musir haiñ
kuchh talḳhī-e-ġham ham ko gavārā bhī bahut hai
anjām-e-vafā dekh leñ kuchh aur bhī jī ke
sunte haiñ ḳhayāl un ko hamārā bhī bahut hai
kuchh raas bhī aatī nahīñ 'afsar' ko masarrat
kuchh ye ki vo hālāt kā maarā bhī bahut hai
mere liye sahil ka nazara bhi bahut hai
girdab mein tinke ka sahaara bhi bahut hai
dam-saz mila koi na sahra-e-junun mein
DhunDa bhi bahut hum ne pukara bhi bahut hai
apni rawish-e-lutf pe kuchh wo bhi musir hain
kuchh talKHi-e-gham hum ko gawara bhi bahut hai
anjam-e-wafa dekh len kuchh aur bhi ji ke
sunte hain KHayal un ko hamara bhi bahut hai
kuchh ras bhi aati nahin 'afsar' ko masarrat
kuchh ye ki wo haalat ka mara bhi bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.