mere liye to phir koi mera nahin hua
mere liye to phir koi mera nahin hua
Mashkoor Mamnoon Qannauji
MORE BYMashkoor Mamnoon Qannauji
mere liye to phir koī merā nahīñ huā
tujh se bichhaḌ ke maiñ bhī kisī kā nahīñ huā
us ne bhī ḳhvāhishoñ ko bahakne nahīñ diyā
maiñ bhī junūn-e-ishq meñ andhā nahīñ huā
boyā thā ham ne jo bhī vahī kāTnā paḌā
kaise kaheñ ki jo huā achchhā nahīñ huā
vaqt-e-duā ye ḳhauf satātā rahā mujhe
maqbūl kyā mirā koī sajda nahīñ huā
shab-bhar tumhārī yaad kā pahra lagā rahā
phir aaj ham pe niiñd kā hamla nahīñ huā
dushvāriyoñ meñ ham ko ḳhudā yaad aa gayā
varna to ek vaqt kā sajda nahīñ huā
'mashkūr' kī sadā pe vo muḌ kar na aa sakā
nārāz ham se vo kabhī itnā nahīñ huā
mere liye to phir koi mera nahin hua
tujh se bichhaD ke main bhi kisi ka nahin hua
us ne bhi KHwahishon ko bahakne nahin diya
main bhi junun-e-ishq mein andha nahin hua
boya tha hum ne jo bhi wahi kaTna paDa
kaise kahen ki jo hua achchha nahin hua
waqt-e-dua ye KHauf satata raha mujhe
maqbul kya mera koi sajda nahin hua
shab-bhar tumhaari yaad ka pahra laga raha
phir aaj hum pe nind ka hamla nahin hua
dushwariyon mein hum ko KHuda yaad aa gaya
warna to ek waqt ka sajda nahin hua
'mashkur' ki sada pe wo muD kar na aa saka
naraaz hum se wo kabhi itna nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.