mere makan se kash ye manzar dikhai de
mere makāñ se kaash ye manzar dikhā.ī de
hariyāliyoñ ke biich tirā ghar dikhā.ī de
chehra kisī kā chāhe lage māhtāb sā
jaao na itne paas ki patthar dikhā.ī de
us shaḳhs ko sadāoñ se pahchān jā.iye
jis shaḳhs kā na jism na paikar dikhā.ī de
aatā hai aur kaun havā ke sivā yahāñ
is dasht meñ kahāñ se koī ghar dikhā.ī de
tū merī zaat meñ kabhī jhāñke to kyā 'ajab
tere sivā na kuchh mire andar dikhā.ī de
zaḳhmoñ ko naap letā hai kis tarh dekhiye
ye dil jo bahr-e-ġham kā shanāvar dikhā.ī de
chal kar ab aise shahr meñ kuchh din guzāriye
'ḳhāvar' jahāñ na koī suḳhanvar dikhā.ī de
mere makan se kash ye manzar dikhai de
hariyaliyon ke bich tera ghar dikhai de
chehra kisi ka chahe lage mahtab sa
jao na itne pas ki patthar dikhai de
us shaKHs ko sadaon se pahchan jaiye
jis shaKHs ka na jism na paikar dikhai de
aata hai aur kaun hawa ke siwa yahan
is dasht mein kahan se koi ghar dikhai de
tu meri zat mein kabhi jhanke to kya 'ajab
tere siwa na kuchh mere andar dikhai de
zaKHmon ko nap leta hai kis tarh dekhiye
ye dil jo bahr-e-gham ka shanawar dikhai de
chal kar ab aise shahr mein kuchh din guzariye
'KHawar' jahan na koi suKHanwar dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.