mere marne ki bhi un ko na KHabar di jae
mere marne kī bhī un ko na ḳhabar dī jaa.e
kis liye apnoñ ko taklīf-e-safar dī jaa.e
laakh ko le ke chaleñ ġhair baḌī shaan ke saath
ghar se le jā ke ye chaurāhe pe dhar dī jaa.e
umr bhar tū ne atā kī hai mai-e-hosh-rubā
vaqt-e-āḳhir hai mai-e-hosh-asar dī jaa.e
sīm-o-zar se na sahī sabr-o-qanā.at se sahī
mujh se ḳhuddār kī jholī bhī to bhar dī jaa.e
ġham se ġham ho na ḳhushī se ho ḳhushī kā ehsās
aisī tadbīr bhī ai dil koī kar dī jaa.e
tab kahīñ jā ke mile manzil-e-irfāñ kā nishāñ
jab nigāhoñ ko zabāñ dil ko nazar dī jaa.e
dil ki hai kushta-e-bedād-e-falak ai 'sāhir'
is ko tābānī-e-ḳhurshīd-o-qamar dī jaa.e
mere marne ki bhi un ko na KHabar di jae
kis liye apnon ko taklif-e-safar di jae
lakh ko le ke chalen ghair baDi shan ke sath
ghar se le ja ke ye chaurahe pe dhar di jae
umr bhar tu ne ata ki hai mai-e-hosh-ruba
waqt-e-aKHir hai mai-e-hosh-asar di jae
sim-o-zar se na sahi sabr-o-qanaat se sahi
mujh se KHuddar ki jholi bhi to bhar di jae
gham se gham ho na KHushi se ho KHushi ka ehsas
aisi tadbir bhi ai dil koi kar di jae
tab kahin ja ke mile manzil-e-irfan ka nishan
jab nigahon ko zaban dil ko nazar di jae
dil ki hai kushta-e-bedad-e-falak ai 'sahir'
is ko tabani-e-KHurshid-o-qamar di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.