mere maula meri duhai hai
mere maulā mirī duhā.ī hai
mujh pe ilzām-e-bevafā.ī hai
maiñ to ḳhud hī ḳhilāf huuñ apne
aur us kī taraf ḳhudā.ī hai
mere hathiyār Dālne ke baa'd
ab bhī baaqī koī laḌā.ī hai
us ke aur mere darmiyāñ ab to
kuchh nahīñ hai faqat judā.ī hai
mere maula meri duhai hai
mujh pe ilzam-e-bewafai hai
main to KHud hi KHilaf hun apne
aur us ki taraf KHudai hai
mere hathiyar Dalne ke ba'd
ab bhi baqi koi laDai hai
us ke aur mere darmiyan ab to
kuchh nahin hai faqat judai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.