mere murshid ho peshwa ho tum
mere murshid ho peshvā ho tum
merī sūrat meñ mudda.ā ho tum
DhūñDhe paatā nahīñ tumheñ har shaḳhs
par sabhoñ meñ ḳhalā-malā ho tum
ma.anī-e-mustafā tumhīñ to ho
kāshif-e-sirr-e-lā-makāñ ho tum
jaañ bhī ho dil ho jumbish-e-a.azā
buud ho kal mirī baqā ho tum
jab tumhīñ tum ho har adā merī
phir bhalā mujh se kab judā ho tum
har jagah jab tumhīñ ho ġhair nahīñ
donoñ aalam meñ barmalā ho tum
'shāh-e-mardān-e-safī' se sun lo saaf
jis ko the DhūñDte dilā ho tum
mere murshid ho peshwa ho tum
meri surat mein muddaa ho tum
DhunDhe pata nahin tumhein har shaKHs
par sabhon mein KHala-mala ho tum
mani-e-mustafa tumhin to ho
kashif-e-sirr-e-la-makan ho tum
jaan bhi ho dil ho jumbish-e-aza
bud ho kal meri baqa ho tum
jab tumhin tum ho har ada meri
phir bhala mujh se kab juda ho tum
har jagah jab tumhin ho ghair nahin
donon aalam mein barmala ho tum
'shah-e-mardan-e-safi' se sun lo saf
jis ko the DhunDte dila ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.