mere mustaqbil mein bhi kuchh likkha kya
mere mustaqbil meñ bhī kuchh likkhā kyā
tum ne mere baare meñ kuchh sochā kyā
maiñ to tum ko apnā maan ke chaltā huuñ
dil meñ tum bhī rakhte ho kuchh aisā kyā
ye terā hai ye merā hai chhoḌo bhī
in be-kār kī bātoñ meñ hai rakkhā kyā
tum ne hī to bolā thā ḳhāmosh raho
aise meñ kuchh kahtā maiñ to kahtā kyā
jiite jī sab kuchh paane ko marte haiñ
mar jaane par haath meñ kuchh bhī rahtā kyā
mere mustaqbil mein bhi kuchh likkha kya
tum ne mere bare mein kuchh socha kya
main to tum ko apna man ke chalta hun
dil mein tum bhi rakhte ho kuchh aisa kya
ye tera hai ye mera hai chhoDo bhi
in be-kar ki baaton mein hai rakkha kya
tum ne hi to bola tha KHamosh raho
aise mein kuchh kahta main to kahta kya
jite ji sab kuchh pane ko marte hain
mar jaane par hath mein kuchh bhi rahta kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.