mere nale par nahin tujhko taghaful ke siwa
mere naale par nahīñ tujh ko taġhāful ke sivā
gul nahīñ suntā kisī kā shor-e-bulbul ke sivā
tum jo kuchh chāho karo jaur-o-itāb-o-ḳhashm-o-nāz
kuchh nahīñ bantā hai āshiq se tahammul ke sivā
jo suḳhan-ras āshnā haiñ zulf-o-kākul ke tirī
un ko mazmūñ bhī nahīñ miltā hai sumbul ke sivā
kis tarah mujh se judā.ī tujh ko aatī hai pasand
qāfiya gul kā nahīñ Thahre hai bulbul ke sivā
vāste muusā ke surma tuur kā hai ai 'razā'
maiñ na duuñ āñkhoñ meñ ḳhāk-e-pā-e-duldul ke sivā
mere nale par nahin tujh ko taghaful ke siwa
gul nahin sunta kisi ka shor-e-bulbul ke siwa
tum jo kuchh chaho karo jaur-o-itab-o-KHashm-o-naz
kuchh nahin banta hai aashiq se tahammul ke siwa
jo suKHan-ras aashna hain zulf-o-kakul ke teri
un ko mazmun bhi nahin milta hai sumbul ke siwa
kis tarah mujh se judai tujh ko aati hai pasand
qafiya gul ka nahin Thahre hai bulbul ke siwa
waste musa ke surma tur ka hai ai 'raza'
main na dun aankhon mein KHak-e-pa-e-duldul ke siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.