mere nalon mein nihan soz bhi hai saz bhi hai
mere nalon mein nihan soz bhi hai saz bhi hai
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
mere nāloñ meñ nihāñ soz bhī hai saaz bhī hai
merī āvāz meñ shāmil tirī āvāz bhī hai
muzhda ai ka.aba-o-but-ḳhāna mirā husn-e-nazar
but-tarāshī meñ bhī māhir hai ḳhudā-sāz bhī hai
apnī hālat pe mujhe ḳhud hī taras aatā hai
par-shikasta huuñ magar ḳhvāhish-e-parvāz bhī hai
merī qismat hī nahīñ merī tabāhī kā sabab
is meñ us shoḳh kī shāmil nigah-e-nāz bhī hai
ishq meñ maut se miltī hai hayāt-e-abadī
ishq kī maut to anjām bhī āġhāz bhī hai
sa.ī-e-iḳhfā-e-mohabbat to bajā hai lekin
sa.ī-e-iḳhfā hī mohabbat kī to ġhammāz bhī hai
mere nalon mein nihan soz bhi hai saz bhi hai
meri aawaz mein shamil teri aawaz bhi hai
muzhda ai kaba-o-but-KHana mera husn-e-nazar
but-tarashi mein bhi mahir hai KHuda-saz bhi hai
apni haalat pe mujhe KHud hi taras aata hai
par-shikasta hun magar KHwahish-e-parwaz bhi hai
meri qismat hi nahin meri tabahi ka sabab
is mein us shoKH ki shamil nigah-e-naz bhi hai
ishq mein maut se milti hai hayat-e-abadi
ishq ki maut to anjam bhi aaghaz bhi hai
sai-e-iKHfa-e-mohabbat to baja hai lekin
sai-e-iKHfa hi mohabbat ki to ghammaz bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.