mere nasib mein KHud-agahi ka dar likh de
mere nasib mein KHud-agahi ka dar likh de
Mohammad Siddiq Naqvi
MORE BYMohammad Siddiq Naqvi
mere nasīb meñ ḳhud-āgahī kā dar likh de
bulandiyoñ kā mire baḳht meñ safar likh de
tire firāq meñ maiñ zindagī guzār chukā
tū apne vasl kī aayat jabīn par likh de
mah-o-nujūm kī sūrat tū kar mujhe raushan
siyāh raat ke siine pe tū sahar likh de
tū apne naam kī ḳhushbū lahū meñ phailā de
tū merī Dūbtī sāñsoñ ko mo'atabar likh de
tū apne ishq kī lazzat se mujh ko zinda rakh
mire vajūd ko ḳhud mujh se be-ḳhabar likh de
mere nasib mein KHud-agahi ka dar likh de
bulandiyon ka mere baKHt mein safar likh de
tere firaq mein main zindagi guzar chuka
tu apne wasl ki aayat jabin par likh de
mah-o-nujum ki surat tu kar mujhe raushan
siyah raat ke sine pe tu sahar likh de
tu apne nam ki KHushbu lahu mein phaila de
tu meri Dubti sanson ko mo'atabar likh de
tu apne ishq ki lazzat se mujh ko zinda rakh
mere wajud ko KHud mujh se be-KHabar likh de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.