mere nazariye se jo sahi hai wo baat kah dun to main ghalat hun
mere nazariye se jo sahi hai wo baat kah dun to main ghalat hun
Madhavi Shankar
MORE BYMadhavi Shankar
mere nazariye se jo sahī hai vo baat kah duuñ to maiñ ġhalat huuñ
qubūl kar luuñ jo jaisā kah de jo apnī rakkhūñ to maiñ ġhalat huuñ
kabhī mohabbat kabhī zarūrat ke naam kar duuñ har ek lamha
kisī ghaḌī jo maiñ ḳhud se bāteñ do chaar kar luuñ to maiñ ġhalat huuñ
hai asl meñ ye ki laḌkiyoñ ko sahīh hai kyā vo pata nahīñ hai
har ek laḌkī ye sochtī hai maiñ kuchh bhī chāhūñ to maiñ ġhalat huuñ
har ik tarāzū meñ taul kar tum mirī mohabbat ko rusvā kar do
jo maiñ bhī tum se tumhāre sach kā subūt māñgūñ to maiñ ġhalat huuñ
mere nazariye se jo sahi hai wo baat kah dun to main ghalat hun
qubul kar lun jo jaisa kah de jo apni rakkhun to main ghalat hun
kabhi mohabbat kabhi zarurat ke nam kar dun har ek lamha
kisi ghaDi jo main KHud se baaten do chaar kar lun to main ghalat hun
hai asl mein ye ki laDkiyon ko sahih hai kya wo pata nahin hai
har ek laDki ye sochti hai main kuchh bhi chahun to main ghalat hun
har ek taraazu mein taul kar tum meri mohabbat ko ruswa kar do
jo main bhi tum se tumhaare sach ka subut mangun to main ghalat hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.