mere pahlu mein hai wo rashk-e-qamar aaj ki raat
mere pahlu mein hai wo rashk-e-qamar aaj ki raat
Shaheer Machlishahri
MORE BYShaheer Machlishahri
mere pahlū meñ hai vo rashk-e-qamar aaj kī raat
jā ke ġhairoñ meñ rahe dard-e-jigar aaj kī raat
niiñd kā vasl meñ hogā na guzar aaj kī raat
rat-jagā aa ke karegī mire ghar aaj kī raat
kis ke ghar jā.egā vo rashk-e-qamar aaj kī raat
chāñd niklegā ḳhudā jaane kidhar aaj kī raat
ye shab-e-vasl shab-e-hijr se yā-rab baḌh jaa.e
roz fardā kī kabhī ho na sahar aaj kī raat
zulf kī aaḌ meñ dil le uḌī shoḳhī-e-nigāh
pā ga.ī DhūñDhtī thī jis ko nazar aaj kī raat
kaTne vaalī nazar aatī nahīñ ye hijr kī shab
ho nahīñ saktī kisī tarah basar aaj kī raat
na kisī samt se āvāz-e-azāñ aatī hai
boltā hai na kahīñ murġh-e-sahar aaj kī raat
ruḳhsat ai ziist ki shām-e-shab-e-ġham aatī hai
apnā is dār-e-fanā se hai safar aaj kī raat
zindagānī kā natīja hai yahī muddat-e-vasl
hāsil-e-umr haiñ ye chaar pahar aaj kī raat
mere pahlu mein hai wo rashk-e-qamar aaj ki raat
ja ke ghairon mein rahe dard-e-jigar aaj ki raat
nind ka wasl mein hoga na guzar aaj ki raat
rat-jaga aa ke karegi mere ghar aaj ki raat
kis ke ghar jaega wo rashk-e-qamar aaj ki raat
chand niklega KHuda jaane kidhar aaj ki raat
ye shab-e-wasl shab-e-hijr se ya-rab baDh jae
roz farda ki kabhi ho na sahar aaj ki raat
zulf ki aaD mein dil le uDi shoKHi-e-nigah
pa gai DhunDhti thi jis ko nazar aaj ki raat
kaTne wali nazar aati nahin ye hijr ki shab
ho nahin sakti kisi tarah basar aaj ki raat
na kisi samt se aawaz-e-azan aati hai
bolta hai na kahin murgh-e-sahar aaj ki raat
ruKHsat ai zist ki sham-e-shab-e-gham aati hai
apna is dar-e-fana se hai safar aaj ki raat
zindagani ka natija hai yahi muddat-e-wasl
hasil-e-umr hain ye chaar pahar aaj ki raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.