mere pahlu mein hamesha rahi surat achchhi
mere pahlū meñ hamesha rahī sūrat achchhī
maiñ bhī achchhā mirī qismat bhī nihāyat achchhī
aap kī shakl bhalī aap kī sūrat achchhī
aap ke taur bure aap se nafrat achchhī
hashr ke din hameñ sūjhī ye sharārat achchhī
le chale ḳhuld meñ ham dekh ke sūrat achchhī
tujh se kahtā thā koī yā tirī tasvīr se aaj
āñkheñ achchhī tirī āñkhoñ kī muravvat achchhī
ham ne sau baar shab-e-vasl milā kar dekhā
ai falak chāñd se vo chāñd sī sūrat achchhī
na bane kaam to kis kaam kī nāzuk shakleñ
nāzuk achchhe na hasīnoñ kī nazākat achchhī
us se koī nahīñ achchhā jo tujhe pyaar kare
maiñ bhī achchhā tire sadqe mirī qismat achchhī
terī madfan se jo uTThe vo barī ai vā'iz
un ke Thokar se jo uTThe vo qayāmat achchhī
jaur tere bahut achchhe sitam-e-gardūñ se
aur un se tirī āñkhoñ kī nadāmat achchhī
muñh meñ jab baat rukī chuum liyā pyaar se muñh
dam-e-taqrīr kisī shoḳh kī luknat achchhī
dekhte hī kisī kāfir ko bigaḌ jaatī hai
maiñ jo chāhūñ bhī to rahtī nahīñ niyyat achchhī
husn-e-sūrat kī tarah husn-e-suḳhan hai kam-yāb
ek hotī hai hazāroñ meñ tabī'at achchhī
tujh se jaltā hai jo vo aur jalāte haiñ use
mire haq meñ mire dushman kī 'adāvat achchhī
aate jaate nazar aatī hai jhalak chilman se
parde parde meñ nikal aa.ī ye sūrat achchhī
ḳhūgar-e-ġham ke liye kuchh bhī nahīñ 'aish kā ḳhvāb
aisī rāhat se hamesha kī musībat achchhī
de ke vo bosa-e-lab shauq se leñ dil merā
'uzr kyā hai jo mile maal kī qīmat achchhī
sun ke ash’ār mire sab yahī kahte haiñ 'riyāz'
is kī qismat hai burī aur tabī'at achchhī
mere pahlu mein hamesha rahi surat achchhi
main bhi achchha meri qismat bhi nihayat achchhi
aap ki shakl bhali aap ki surat achchhi
aap ke taur bure aap se nafrat achchhi
hashr ke din hamein sujhi ye shararat achchhi
le chale KHuld mein hum dekh ke surat achchhi
tujh se kahta tha koi ya teri taswir se aaj
aankhen achchhi teri aankhon ki murawwat achchhi
hum ne sau bar shab-e-wasl mila kar dekha
ai falak chand se wo chand si surat achchhi
na bane kaam to kis kaam ki nazuk shaklen
nazuk achchhe na hasinon ki nazakat achchhi
us se koi nahin achchha jo tujhe pyar kare
main bhi achchha tere sadqe meri qismat achchhi
teri madfan se jo uTThe wo bari ai wa'iz
un ke Thokar se jo uTThe wo qayamat achchhi
jaur tere bahut achchhe sitam-e-gardun se
aur un se teri aankhon ki nadamat achchhi
munh mein jab baat ruki chum liya pyar se munh
dam-e-taqrir kisi shoKH ki luknat achchhi
dekhte hi kisi kafir ko bigaD jati hai
main jo chahun bhi to rahti nahin niyyat achchhi
husn-e-surat ki tarah husn-e-suKHan hai kam-yab
ek hoti hai hazaron mein tabi'at achchhi
tujh se jalta hai jo wo aur jalate hain use
mere haq mein mere dushman ki 'adawat achchhi
aate jate nazar aati hai jhalak chilman se
parde parde mein nikal aai ye surat achchhi
KHugar-e-gham ke liye kuchh bhi nahin 'aish ka KHwab
aisi rahat se hamesha ki musibat achchhi
de ke wo bosa-e-lab shauq se len dil mera
'uzr kya hai jo mile mal ki qimat achchhi
sun ke ash’ar mere sab yahi kahte hain 'riyaz'
is ki qismat hai buri aur tabi'at achchhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.