mere peD ke sare patte sukhe hain
mere peḌ ke saare patte sūkhe haiñ
ik ik kar ke Daalī se sab TuuTe haiñ
ro lete haiñ chhup kar sāmne hañste haiñ
mere ghar meñ saare kitne jhūTe haiñ
sar pe chhat na baap kā saaya aur shikam
is pe qahr ki apne ham se rūThe haiñ
jaldī jism kī bhuuk miTā lo ai sāhab
ghar par mere saare bachche bhūke haiñ
ḳhālī peT thā duudh pilāyā bachche ko
nanhe peT pe zabt ke dāman chhoTe haiñ
ḳhūn-e-jigar se pyaas bujhā.ī logoñ kī
in āñkhoñ se lahū ke chashme phūTe haiñ
terā diyā hī naam tire par nahīñ diyā
jitne baḌe haiñ dil ke baḌe hī chhoTe haiñ
mere peD ke sare patte sukhe hain
ek ek kar ke Dali se sab TuTe hain
ro lete hain chhup kar samne hanste hain
mere ghar mein sare kitne jhuTe hain
sar pe chhat na bap ka saya aur shikam
is pe qahr ki apne hum se ruThe hain
jaldi jism ki bhuk miTa lo ai sahab
ghar par mere sare bachche bhuke hain
KHali peT tha dudh pilaya bachche ko
nanhe peT pe zabt ke daman chhoTe hain
KHun-e-jigar se pyas bujhai logon ki
in aankhon se lahu ke chashme phuTe hain
tera diya hi nam tere par nahin diya
jitne baDe hain dil ke baDe hi chhoTe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.