mere qabze mein lab-kushai hai
mere qabze meñ lab-kushā.ī hai
ab asīrī nahīñ rihā.ī hai
bāb-e-gulshan khulā jo us se mile
gul-e-sad-barg āshnā.ī hai
ik musalsal safar meñ rahtā huuñ
mujh ko shauq-e-shikasta-pā.ī hai
zikr us kā rahegā mahshar tak
jis ne āvāz-e-haq sunā.ī hai
un kā dāman bhī aaj tar dekhā
vo jinheñ zo.am-e-pārsā.ī hai
manziloñ par pahuñch ke ruk jaanā
vajh-e-tauhīn-e-rahnumā.ī hai
ḳhvāb hai in se guftugū karnā
nā-rasā.ī sī nā-rasā.ī hai
kis qadar āshnā lagī hai 'zafar'
ik kaThin rahguzar jo aa.ī hai
mere qabze mein lab-kushai hai
ab asiri nahin rihai hai
bab-e-gulshan khula jo us se mile
gul-e-sad-barg aashnai hai
ek musalsal safar mein rahta hun
mujh ko shauq-e-shikasta-pai hai
zikr us ka rahega mahshar tak
jis ne aawaz-e-haq sunai hai
un ka daman bhi aaj tar dekha
wo jinhen zoam-e-parsai hai
manzilon par pahunch ke ruk jaana
wajh-e-tauhin-e-rahnumai hai
KHwab hai in se guftugu karna
na-rasai si na-rasai hai
kis qadar aashna lagi hai 'zafar'
ek kaThin rahguzar jo aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.