mere rone par jo roya aadmi fahmida hai
mere rone par jo royā aadmī fahmīda hai
nāseh-e-āqil purānā gurg-e-bārāñ-dīda hai
maiñ bhī to dekhūñ nikaltā hai ye tinkā kis tarah
chārāgar kī aañkh meñ merā tan-e-kāhīda hai
tū ne rakkhā hai raqīb-e-tursh-rū ke dil pe haath
aaj kyoñ phīkā tirā dast-e-hinā-mālīda hai
ḳhaak meñ us ne milāyā mujh ko yā maiñ ne use
aaj maiñ huuñ aur ye merā dil-e-taftīda hai
zahr khā kar mil ga.e haiñ ḳhaak meñ āshiq bahut
uñgliyāñ haiñ dekh to yā sabza-e-roīda hai
ḳhuub aatā hai lagā lenā nigāh-e-yār ko
ek se an-ban huī to dūsrā girvīda hai
bahr-e-nazzāra chalā hai kūcha-e-qātil meñ 'dāġh'
kis balā kā hai kaleja kis ġhazab kā diida hai
mere rone par jo roya aadmi fahmida hai
naseh-e-aqil purana gurg-e-baran-dida hai
main bhi to dekhun nikalta hai ye tinka kis tarah
chaaragar ki aankh mein mera tan-e-kahida hai
tu ne rakkha hai raqib-e-tursh-ru ke dil pe hath
aaj kyon phika tera dast-e-hina-malida hai
KHak mein us ne milaya mujh ko ya main ne use
aaj main hun aur ye mera dil-e-taftida hai
zahr kha kar mil gae hain KHak mein aashiq bahut
ungliyan hain dekh to ya sabza-e-roida hai
KHub aata hai laga lena nigah-e-yar ko
ek se an-ban hui to dusra girwida hai
bahr-e-nazzara chala hai kucha-e-qatil mein 'dagh'
kis bala ka hai kaleja kis ghazab ka dida hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.