mere sapnon ki mast purwai
mere sapnoñ kī mast purvā.ī
merī ḳhātir tujhe bulā laa.ī
ik tire intizār meñ baiThe
ho chalī shaam dhuup sañvlā.ī
sāt-rangī dhanak ko jab dekhā
aa ga.ī yaad terī añgḌā.ī
terī yādeñ lipaT ga.iiñ mujh se
bāñsurī kī jo taan lahrā.ī
khul ga.iiñ ik zarā laTeñ terī
kitnī ḳhushbū pavan uḌā laa.ī
jab bhī jīvan meñ koī moḌ aaya
maiñ ne kyoñ terī hī kamī paa.ī
kaañp uTThā huuñ maiñ vahīñ 'maġhmūm'
pyaar kī jot jab bhī tharrā.ī
mere sapnon ki mast purwai
meri KHatir tujhe bula lai
ek tere intizar mein baiThe
ho chali sham dhup sanwlai
sat-rangi dhanak ko jab dekha
aa gai yaad teri angDai
teri yaaden lipaT gain mujh se
bansuri ki jo tan lahrai
khul gain ek zara laTen teri
kitni KHushbu pawan uDa lai
jab bhi jiwan mein koi moD aaya
main ne kyon teri hi kami pai
kanp uTTha hun main wahin 'maghmum'
pyar ki jot jab bhi tharrai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.