mere sar se kya gharaz sarkar ko
mere sar se kyā ġharaz sarkār ko
dekhiye apne dar-o-dīvār ko
ye ghaTā aisī ghaTā itnī ghaTā
mai halāl aise meñ hai mai-ḳhvār ko
dhamkiyāñ dete ho kyā talvār kī
ham lagāte haiñ gale talvār ko
apnī apnī sab dikhāte haiñ bahār
gul bhī gulshan se chale bāzār ko
taaq se miinā utaar aa.ī bahār
taaq par rakh shaiḳh istiġhfār ko
DhūñDhtā phirtā hai kū-e-ġhair meñ
dil 'mubārak' ko 'mubārak' yaar ko
mere sar se kya gharaz sarkar ko
dekhiye apne dar-o-diwar ko
ye ghaTa aisi ghaTa itni ghaTa
mai halal aise mein hai mai-KHwar ko
dhamkiyan dete ho kya talwar ki
hum lagate hain gale talwar ko
apni apni sab dikhate hain bahaar
gul bhi gulshan se chale bazar ko
taq se mina utar aai bahaar
taq par rakh shaiKH istighfar ko
DhunDhta phirta hai ku-e-ghair mein
dil 'mubarak' ko 'mubarak' yar ko
- Book : intekhaab-e-kalaam (Pg. 26)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.