mere shauq ka saman band hai lifafe mein
mere shauq kā sāmāñ band hai lifāfe meñ
aur dil kā har armāñ band hai lifāfe meñ
nāma-bar tujhe bhī kuchh ehtiyāt rakhnā hai
zindagī kā har unvāñ band hai lifāfe meñ
apnī har sahelī ko merā ḳhat dikhā denā
qissa-e-shab-e-hijrāñ band hai lifāfe meñ
maiñ ne apnī āñkhoñ se muhr to lagā dī hai
ye samajh lo merī jaañ band hai lifāfe meñ
taaki tujh pe khul jaa.e pyaas diid kī terī
merā dīda-e-hairāñ band hai lifāfe meñ
mere shauq ka saman band hai lifafe mein
aur dil ka har arman band hai lifafe mein
nama-bar tujhe bhi kuchh ehtiyat rakhna hai
zindagi ka har unwan band hai lifafe mein
apni har saheli ko mera KHat dikha dena
qissa-e-shab-e-hijran band hai lifafe mein
main ne apni aankhon se muhr to laga di hai
ye samajh lo meri jaan band hai lifafe mein
taki tujh pe khul jae pyas did ki teri
mera dida-e-hairan band hai lifafe mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.