mere shikwe ka zara us pe asar ho to sahi
mere shikve kā zarā us pe asar ho to sahī
mehrbāñ mujh pe kabhī us kī nazar ho to sahī
dekhne vaale mirā azm-e-safar dekheñge
manzil-e-shauq koī pesh-e-nazar ho to sahī
jalve qudrat ke to bikhre hue kaunain meñ haiñ
dekhne vaalā koī ahl-e-nazar ho to sahī
maiñ masarrat bhare lamhoñ kā karūñ istiqbāl
mire hisse meñ hasīñ shām-o-sahar ho to sahī
muskurāne kī tamannā to mujhe hai lekin
koī lamha ġham-e-daurāñ se mafar ho to sahī
hech har chiiz zamāne kī nazar aa.egī
tujh ko ḳhud apnī haqīqat kī ḳhabar ho to sahī
maiñ bhī 'ma.asūm' samajh lūñgā hai duniyā jannat
aish-o-ārām se kuchh roz basar ho to sahī
mere shikwe ka zara us pe asar ho to sahi
mehrban mujh pe kabhi us ki nazar ho to sahi
dekhne wale mera azm-e-safar dekhenge
manzil-e-shauq koi pesh-e-nazar ho to sahi
jalwe qudrat ke to bikhre hue kaunain mein hain
dekhne wala koi ahl-e-nazar ho to sahi
main masarrat bhare lamhon ka karun istiqbaal
mere hisse mein hasin sham-o-sahar ho to sahi
muskurane ki tamanna to mujhe hai lekin
koi lamha gham-e-dauran se mafar ho to sahi
hech har chiz zamane ki nazar aaegi
tujh ko KHud apni haqiqat ki KHabar ho to sahi
main bhi 'masum' samajh lunga hai duniya jannat
aish-o-aram se kuchh roz basar ho to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.