mere sine mein kuchh zer-o-zabar hai
mere siine meñ kuchh zer-o-zabar hai
chaman meñ ġhāliban vaqt-e-sahar hai
chalā jaatā huuñ aksar shahr vaalo
bayābāñ meñ bhī merā ek ghar hai
jo chehre par nazar aatī hai mere
merī rañgat nahīñ gard-e-safar hai
koī Tiktā nahīñ dil meñ ziyāda
ye goyā ghar nahīñ hai rahguzar hai
nazar aate haiñ bas a.amāl sab ko
mere ahvāl par kis kī nazar hai
agar 'anvar-shu'ūr' aisā kare to
nazar-andāz kar denā bashar hai
mere sine mein kuchh zer-o-zabar hai
chaman mein ghaaliban waqt-e-sahar hai
chala jata hun aksar shahr walo
bayaban mein bhi mera ek ghar hai
jo chehre par nazar aati hai mere
meri rangat nahin gard-e-safar hai
koi Tikta nahin dil mein ziyaada
ye goya ghar nahin hai rahguzar hai
nazar aate hain bas aamal sab ko
mere ahwal par kis ki nazar hai
agar 'anwar-shu'ur' aisa kare to
nazar-andaz kar dena bashar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.