mere sine mein shor sa kya hai
mere siine meñ shor sā kyā hai
jānte ho mo.āmla kyā hai
sair duniyā kī Thaan lī hai agar
muḌ ke bastī ko dekhtā kyā hai
dekhne ko to muḌ ke dekh leñ ham
dekhne ko magar rahā kyā hai
ḳhud-sarāboñ se dostī kī thī
regzāroñ se ab gila kyā hai
badle badle haiñ āshnā chehre
dosto hādisa huā kyā hai
aa.ina pūchhtā rahā 'jāzib'
ḳhushk āñkheñ haiñ mājrā kyā hai
mere sine mein shor sa kya hai
jaante ho moamla kya hai
sair duniya ki Than li hai agar
muD ke basti ko dekhta kya hai
dekhne ko to muD ke dekh len hum
dekhne ko magar raha kya hai
KHud-sarabon se dosti ki thi
regzaron se ab gila kya hai
badle badle hain aashna chehre
dosto hadisa hua kya hai
aaina puchhta raha 'jazib'
KHushk aankhen hain majra kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.