mere siwa bhi koi giraftar mujh mein hai
mere sivā bhī koī giraftār mujh meñ hai
yā phir mirā vajūd hī bezār mujh meñ hai
merī ġhazal kisī ke takallum kī bāzgasht
ik yār-e-ḳhush-kalām-o-tarah-dār mujh meñ hai
had hai ki tū na merī aziyyat samajh sakā
shāyad koī balā kā adākār mujh meñ hai
jis kā vajūd vaqt se pahle kī baat hai
vo bhī adam se barsar-e-paikār mujh meñ hai
tū hai ki terī zaat kā iqrār har-nafas
maiñ huuñ ki merī zaat kā inkār mujh meñ hai
tujh se na kuchh kahā to kisī se na kuchh kahā
kitnī shadīd ḳhvāhish-e-iz.hār mujh meñ hai
maiñ kyā huuñ kā.enāt meñ kuchh bhī nahīñ huuñ maiñ
phir kyuuñ isī savāl kī takrār mujh meñ hai
jis din se maiñ visāl kī āsūdgī meñ huuñ
us din se vo firāq se do-chār mujh meñ hai
maiñ huuñ ki ek pal kī bhī fursat nahīñ mujhe
vo hai ki ek umr se be-kār mujh meñ hai
mere siwa bhi koi giraftar mujh mein hai
ya phir mera wajud hi bezar mujh mein hai
meri ghazal kisi ke takallum ki bazgasht
ek yar-e-KHush-kalam-o-tarah-dar mujh mein hai
had hai ki tu na meri aziyyat samajh saka
shayad koi bala ka adakar mujh mein hai
jis ka wajud waqt se pahle ki baat hai
wo bhi adam se barsar-e-paikar mujh mein hai
tu hai ki teri zat ka iqrar har-nafas
main hun ki meri zat ka inkar mujh mein hai
tujh se na kuchh kaha to kisi se na kuchh kaha
kitni shadid KHwahish-e-izhaar mujh mein hai
main kya hun kaenat mein kuchh bhi nahin hun main
phir kyun isi sawal ki takrar mujh mein hai
jis din se main visal ki aasudgi mein hun
us din se wo firaq se do-chaar mujh mein hai
main hun ki ek pal ki bhi fursat nahin mujhe
wo hai ki ek umr se be-kar mujh mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.