mere siwa sabhi ki thi yalghaar har taraf
mere sivā sabhī kī thī yalġhār har taraf
nādān sirf maiñ hī thā hushiyār har taraf
baaqī bachegā kuchh bhī na mujh ko nikāl ke
haiñ mere dam se sābit-o-sayyār har taraf
sab dil pe choT khaa.e haiñ sab ġham chhupā.e haiñ
āzār-e-'ishq ke haiñ gunahgār har taraf
bāzār-e-misr meñ koī yūsuf nahīñ hai ab
kis kī talāsh meñ haiñ ḳharīdār har taraf
qasr-e-anā ke taḳht kā sultān maiñ hī huuñ
maiñ ne hī ḳhud uThā.ī hai dīvār har taraf
bichh jaatī haiñ safeñ kī safeñ ran meñ chaar sū
jab ik taraf se kartā huuñ maiñ vaar har taraf
ḳhud chal ke koī jaatā nahīñ us ke naam par
baiThe sabhī haiñ jaane ko tayyār har taraf
mere siwa sabhi ki thi yalghaar har taraf
nadan sirf main hi tha hushiyar har taraf
baqi bachega kuchh bhi na mujh ko nikal ke
hain mere dam se sabit-o-sayyar har taraf
sab dil pe choT khae hain sab gham chhupae hain
aazar-e-'ishq ke hain gunahgar har taraf
bazar-e-misr mein koi yusuf nahin hai ab
kis ki talash mein hain KHaridar har taraf
qasr-e-ana ke taKHt ka sultan main hi hun
main ne hi KHud uThai hai diwar har taraf
bichh jati hain safen ki safen ran mein chaar su
jab ek taraf se karta hun main war har taraf
KHud chal ke koi jata nahin us ke nam par
baiThe sabhi hain jaane ko tayyar har taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.