mere siwa ye kaam koi aur bhi kare
mere sivā ye kaam koī aur bhī kare
dushman kā ehtirām koī aur bhī kare
maiñ ne to rāh-e-ishq meñ ḳhud ko miTā diyā
ab zindagī tamām koī aur bhī kare
maiñ ne to ḳhvāb meñ bhī ye sochā nahīñ kabhī
dil meñ tere qiyām koī aur bhī kare
kyā aap chāhte haiñ sar-e-bazm ai 'majāz'
raushan vatan kā naam koī aur bhī kare
mere siwa ye kaam koi aur bhi kare
dushman ka ehtiram koi aur bhi kare
main ne to rah-e-ishq mein KHud ko miTa diya
ab zindagi tamam koi aur bhi kare
main ne to KHwab mein bhi ye socha nahin kabhi
dil mein tere qiyam koi aur bhi kare
kya aap chahte hain sar-e-bazm ai 'majaz'
raushan watan ka nam koi aur bhi kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.