mere tasawwuraat hain tahriren ishq ki
mere tasavvurāt haiñ tahrīreñ ishq kī
zindānī-e-ḳhayāl haiñ zanjīreñ ishq kī
ta.abīr-e-husn hai dil-e-majrūh kā lahū
chhīñTe paḌe to ban ga.iiñ tasvīreñ ishq kī
dāġh-e-firāq zaḳhm-e-vafā ashk-e-ḳhūñ-fishāñ
roz-e-azal se haiñ yahī jāgīreñ ishq kī
shām-e-ḳhizāñ ko sub.h-e-bahārāñ banā diyā
tartīb-e-zīst ban ga.iiñ ta.azīreñ ishq kī
'sāġhar' jahān-e-shauq meñ dekhī hai jāvedāñ
ahl-e-nazar ke sāmne tafsīreñ ishq kī
mere tasawwuraat hain tahriren ishq ki
zindani-e-KHayal hain zanjiren ishq ki
tabir-e-husn hai dil-e-majruh ka lahu
chhinTe paDe to ban gain taswiren ishq ki
dagh-e-firaq zaKHm-e-wafa ashk-e-KHun-fishan
roz-e-azal se hain yahi jagiren ishq ki
sham-e-KHizan ko subh-e-bahaaran bana diya
tartib-e-zist ban gain taziren ishq ki
'saghar' jahan-e-shauq mein dekhi hai jawedan
ahl-e-nazar ke samne tafsiren ishq ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.