mere to ghar mein rahte hain mausam kamal ke
mere to ghar meñ rahte haiñ mausam kamāl ke
allah kare na aa.eñ kabhī din zavāl ke
itnā baḌā kiyā hai usī ne to paal ke
aane na de jo paas mire din malāl ke
ik yaad terī saath thī ab vo bhī Dhal ga.ī
qisse purāne ho ga.e mere gulāl ke
dil ko bahut sukūn use dekh ke milā
ḳhush-bāsh haiñ vo ḳhuub mujhe bhūl-bhāl ke
duniyā kī baat chhoḌiye qissa ye ghar kā hai
din jā chuke haiñ lauT ke ranj-o-malāl ke
aañsū bahā ke baap ne beTe se ye kahā
kyā mil gayā tujhe mirī pagḌī uchhāl ke
maiñ sochtī huuñ kaisī 'shagufta' ye baat hai
ab to pahāḌ ban gayā ġham paal paal ke
mere to ghar mein rahte hain mausam kamal ke
allah kare na aaen kabhi din zawal ke
itna baDa kiya hai usi ne to pal ke
aane na de jo pas mere din malal ke
ek yaad teri sath thi ab wo bhi Dhal gai
qisse purane ho gae mere gulal ke
dil ko bahut sukun use dekh ke mila
KHush-bash hain wo KHub mujhe bhul-bhaal ke
duniya ki baat chhoDiye qissa ye ghar ka hai
din ja chuke hain lauT ke ranj-o-malal ke
aansu baha ke bap ne beTe se ye kaha
kya mil gaya tujhe meri pagDi uchhaal ke
main sochti hun kaisi 'shagufta' ye baat hai
ab to pahaD ban gaya gham pal pal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.