mere uske darmiyan jo fasla rakkha gaya
mere us ke darmiyāñ jo fāsla rakkhā gayā
us ke tai karne ko bhī ik rāsta rakkhā gayā
'aks kho jaa.eñ agar halkā sā kankar bhī gire
pāniyoñ meñ ek aisā aa.inā rakkhā gayā
sab taqāze vaise puure ho ga.e insāf ke
bas faqat mahfūz merā faisla rakkhā gayā
nā-rasā.ī kī aziyyat hī rahī apnā nasīb
mil ga.ī rūheñ to jismoñ ko judā rakkhā gayā
bhar ke āñkhoñ meñ sulagte ḳhvāb us kī yaad ke
mujh ko sote meñ bhī 'haidar' jāgtā rakkhā gayā
mere us ke darmiyan jo fasla rakkha gaya
us ke tai karne ko bhi ek rasta rakkha gaya
'aks kho jaen agar halka sa kankar bhi gire
paniyon mein ek aisa aaina rakkha gaya
sab taqaze waise pure ho gae insaf ke
bas faqat mahfuz mera faisla rakkha gaya
na-rasai ki aziyyat hi rahi apna nasib
mil gai ruhen to jismon ko juda rakkha gaya
bhar ke aankhon mein sulagte KHwab us ki yaad ke
mujh ko sote mein bhi 'haidar' jagta rakkha gaya
- Book : Khayaabaan (Pg. 141)
- Author : Hassan Abbas Raza
- Publication : Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.