mere uske darmiyan ye fasla apni jagah hai
mere us ke darmiyāñ ye fāsla apnī jagah hai
āhaToñ aur dastakoñ kā silsila apnī jagah hai
sīna-e-āvāz meñ hai barf kī talvār gum
be-sadā gumbad kā lekin mas.ala apnī jagah hai
maiñ chamaktī ret kī aTkheliyoñ kā huuñ asiir
eḌiyoñ kā iztirābī mashġhala apnī jagah hai
ḳhud-farebī kā bharam TuuTā chalo achchhā huā
ūñghtī bedāriyoñ kā marhala apnī jagah hai
mere us ke darmiyan ye fasla apni jagah hai
aahaTon aur dastakon ka silsila apni jagah hai
sina-e-awaz mein hai barf ki talwar gum
be-sada gumbad ka lekin masala apni jagah hai
main chamakti ret ki aTkheliyon ka hun asir
eDiyon ka iztirabi mashghala apni jagah hai
KHud-farebi ka bharam TuTa chalo achchha hua
unghti bedariyon ka marhala apni jagah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.