mere wujud ka koi inam bhi nahin
mere vujūd kā koī in'ām bhī nahīñ
yā'nī tire laboñ pe mirā naam bhī nahīñ
zanjīr-e-husn meñ hameñ bāñdhā gayā hai kyoñ
ham par to tere 'ishq kā ilzām bhī nahīñ
takte haiñ farsh-e-nutq se 'arsh-e-ḳhayāl ko
muddat huī ki bārish-e-ilhām bhī nahīñ
mere wujud ka koi in'am bhi nahin
ya'ni tere labon pe mera nam bhi nahin
zanjir-e-husn mein hamein bandha gaya hai kyon
hum par to tere 'ishq ka ilzam bhi nahin
takte hain farsh-e-nutq se 'arsh-e-KHayal ko
muddat hui ki barish-e-ilham bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.