mere zaKHm-e-jigar ki gahrai
mere zaḳhm-e-jigar kī gahrā.ī
chārasāzoñ ko kab nazar aa.ī
jaise kuchh kah rahī ho ḳhāmoshī
jaise kuchh sun rahī ho tanhā.ī
shauq ne ham ko aql baḳhshī thī
aql ne kar diyā hai saudā.ī
ham ko donoñ aziiz haiñ ai dil
vo tirī bazm ho ki tanhā.ī
ek parchhā.īñ kī talāsh hameñ
donoñ aalam se duur le aa.ī
kho gayā zehn-o-dil kā sarmāya
luT ga.ī fikr-o-fan kī ra.anā.ī
mere zaKHm-e-jigar ki gahrai
chaarasazon ko kab nazar aai
jaise kuchh kah rahi ho KHamoshi
jaise kuchh sun rahi ho tanhai
shauq ne hum ko aql baKHshi thi
aql ne kar diya hai saudai
hum ko donon aziz hain ai dil
wo teri bazm ho ki tanhai
ek parchhain ki talash hamein
donon aalam se dur le aai
kho gaya zehn-o-dil ka sarmaya
luT gai fikr-o-fan ki ranai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.