mere zarre ke muqaddar mein hai sahra hona
mere zarre ke muqaddar meñ hai sahrā honā
ik na ik roz hai mujh ko bhī huvaidā honā
shāyad is vāste pahchān tirī mushkil hai
itnā āsān nahīñ ḳhud se shanāsā honā
itnā biinā huuñ ki gulshan kī havā-ḳhvāhī meñ
dekh saktā nahīñ shāḳhoñ kā barahna honā
dekh is daur meñ ālām-o-masā.ib ke hujūm
dekh is daur meñ insān kā tanhā honā
kitnā āsān hai sar kāTte phirnā 'bedī'
kitnā mushkil hai zamāne kā masīhā honā
mere zarre ke muqaddar mein hai sahra hona
ek na ek roz hai mujh ko bhi huwaida hona
shayad is waste pahchan teri mushkil hai
itna aasan nahin KHud se shanasa hona
itna bina hun ki gulshan ki hawa-KHwahi mein
dekh sakta nahin shaKHon ka barahna hona
dekh is daur mein aalam-o-masaib ke hujum
dekh is daur mein insan ka tanha hona
kitna aasan hai sar kaTte phirna 'bedi'
kitna mushkil hai zamane ka masiha hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.