meri aahon mein asar hai ki nahin dekh to lun
merī aahoñ meñ asar hai ki nahīñ dekh to luuñ
rif.at-e-dard-e-jigar hai ki nahīñ dekh to luuñ
vo jo thā bā.is-e-taskīn-e-ġham-e-hijr kabhī
ab vahī dīda-e-tar hai ki nahīñ dekh to luuñ
vo to aa jā.eñge sar-tā-pā tajallī ban kar
tāb-e-nazāra magar hai ki nahīñ dekh to luuñ
shām-e-ġham roz-e-azal se rahī hamrāh mire
mere ġham kī bhī sahar hai ki nahīñ dekh to luuñ
ḳhāna-e-dil meñ farozāñ hai jo mānind-e-charāġh
daaġh vo rashk-e-qamar hai ki nahīñ dekh to luuñ
meri aahon mein asar hai ki nahin dekh to lun
rifat-e-dard-e-jigar hai ki nahin dekh to lun
wo jo tha bais-e-taskin-e-gham-e-hijr kabhi
ab wahi dida-e-tar hai ki nahin dekh to lun
wo to aa jaenge sar-ta-pa tajalli ban kar
tab-e-nazara magar hai ki nahin dekh to lun
sham-e-gham roz-e-azal se rahi hamrah mere
mere gham ki bhi sahar hai ki nahin dekh to lun
KHana-e-dil mein farozan hai jo manind-e-charagh
dagh wo rashk-e-qamar hai ki nahin dekh to lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.