meri aankhon ko nae KHwab dikhane wale
merī āñkhoñ ko na.e ḳhvāb dikhāne vaale
dil meñ bhī aa jā nigāhoñ meñ samāne vaale
haiñ bahut hī yahāñ chalte ko girāne vaale
aadmī kam haiñ yahāñ saath nibhāne vaale
dil meñ kyā hai ye kabhī khul ke bayāñ bhī kar do
dekh kar mujh ko nigāhoñ ko jhukāne vaale
jāntā huuñ maiñ haqīqat jo tire dil meñ hai
pyaar meñ ghol mujhe zahr pilāne vaale
māñgtī haiñ ye du'ā rab se vafā.eñ merī
tū bhī taḌpe mirī chāhat ko bhulāne vaale
kyā tujhe apnī jafāoñ kī ḳhabar hai kuchh bhī
mujh pe ilzām jafāoñ kā lagāne vaale
aa tire dil meñ mohabbat kā ujālā bhar duuñ
dekh chehre ko mire 'iid manāne vaale
yaad ā.eñgī tujhe jab bhī vafā.eñ merī
tū bhī ro.egā mire dil ko rulāne vaale
ab to rasman hī yahāñ log milā karte haiñ
dil milāte hī nahīñ haath milāne vaale
zindagī sukh kī tasallī maiñ tujhe kaise duuñ
luuT kar le ga.e jab chain zamāne vaale
ḳhvāb mahloñ ke nahīñ ham haiñ sajāte 'hīrā'
ham to insān haiñ bas khāne-kamāne vaale
meri aankhon ko nae KHwab dikhane wale
dil mein bhi aa ja nigahon mein samane wale
hain bahut hi yahan chalte ko girane wale
aadmi kam hain yahan sath nibhane wale
dil mein kya hai ye kabhi khul ke bayan bhi kar do
dekh kar mujh ko nigahon ko jhukane wale
jaanta hun main haqiqat jo tere dil mein hai
pyar mein ghol mujhe zahr pilane wale
mangti hain ye du'a rab se wafaen meri
tu bhi taDpe meri chahat ko bhulane wale
kya tujhe apni jafaon ki KHabar hai kuchh bhi
mujh pe ilzam jafaon ka lagane wale
aa tere dil mein mohabbat ka ujala bhar dun
dekh chehre ko mere 'id manane wale
yaad aaengi tujhe jab bhi wafaen meri
tu bhi roega mere dil ko rulane wale
ab to rasman hi yahan log mila karte hain
dil milate hi nahin hath milane wale
zindagi sukh ki tasalli main tujhe kaise dun
luT kar le gae jab chain zamane wale
KHwab mahlon ke nahin hum hain sajate 'hira'
hum to insan hain bas khane-kamane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.